Ek baar hum pati patni me jhagra ho gaya,
Ki beta bada ho kar kya banega – is pe baghera khara ho gaya.
Mai thehra kavi , mujhe kuch khas fark nahin hai,
Lekin meri patni ko doctor ke niche razamand nahin hai.
Yeh sun ke mai ho gaya fire,
“Maine kaha ki badal do tum yeh desire.
Aur sath hi tumhe ek aur decision lena hoga,
Mujhe abhi aur isi waqt talak dena hoga”.
Patni ko yeh dialogue thori khal gayi – thori kya ji puri khal gai,
Aur uske hath ka belan turant chal gayi.
Adhe ghante tak usne jam kar ki meri dhunai,
Tab kahin ja ke woh normal ho pai.
Fir boli “haan priya, aab batao tum kya keh rahe the”,
Maine kaha “ji kuch nahin vichar aise hi bah rahe the
Tu agar pyar se sune to sunao nahin
Nahin to bekar dobara mar kyon khaun”.
Woh boli “acha pyar se sunti hoon sunao”
Maine kaha-“ji agar bete ko doctor hi banana hai,
To koi dalit var le le.
Aur usse abhi aur isi waqt shadi kar le,
Nahin to tere sapno ka mahal chakna chur ho gayega
Itne reservation hetu – bete ka future bigar jayega”.
Aab ja ke meri patni ko meri baat samaj me ayi,
Bhagwan ka shukr hai , bach gayi meri pitai.
Bechari ke to chut pare rulai-
Aur boli, rote hue, “ki batao humara beta kya banega ?”
Mai bola “ki agar extraordinary nahi hua to bhuka marega”.
Woh boli “to thik hai mai extraordinary beta paida kar dungi”
Maine kaha – “kyon TV me Ads aye hai kya -
KICKS Action 500 lo Beckham paida karo”
Aur par gayi dobara – kya ? belan aur kya,
Fat gaya kurta utar gayi patloon- bas tuti nahin to haddi,
Lekin hum bhi nahi the fisdaddi .
Usi fatichar halat me kaha-
Is vyavastha ko naya ayam dena hoga,
Ek baar fir bhagat singh ko janm lena hoga.
Woh boli – “tum kaho to bhagat singh paida kar doon”,
Mai tatmata gaya, lekin kuch kahne se pehle sambhal gaya.
Pitai yaad thi, dard se halat patli thi.
Maine kaha “tu to paida kar degi,
Fir yeh sardardi teri maa mol legi ?”
Woh puchi “kaun si sardardi”
Humne kaha “hai bedardi,
Agar bhagat singh ayega to kya chup chap baithega ?
Har chauthe din naya bawal khara machayega
Sting operation specialist kahe layega .
Shakti Kapoor se leke George Fernandes tak na jane kitno ke pole kholega.
Aur yeh Police – kya use aise hi chor degi ?
Ek hi baar me hadddi passli thor degi.
Aur thane har chauthe din bail karane kaun jayega,
Marham-patti aur bail ka kharcha kahan se ayega.”
Is pe- patni aag babula ho gayi,
Kahne lagi, “kya yehi hai tumhari desh bhakti.
Desh bhakti naam me kalank ho,
Bas kavitao me dinge hankne ke layak ho.
Dusre ke bete ki maut chahte ho,
Apne bete ki maut se darte ho.”
Patni ki yeh baat samaj me aa gayi,
Maine kaha –“ tu bhagat singh paida kar de bhai.
Par jo karma hai jaldi kar,
Woh boli 6 mahine sabr kar.”
6 mahine baad, mai hospital me khara apne baal noch raha tha
Apne bete ki future ke bare me soch raha tha.
Antatah who khhan aa hi gaya,
Nurse ne mere hath me ek parcha thamaya.
Aur kaha- aapke bete ke paas se yeh baramad hua hai,
Aapka beta murda paida hua hai.
Us parche me likha tha,
‘Mai is vyavastha ke virudh vidhroh kar raha hoon,
Maa ki kokh me hi atm hatya kar raha hoon.
Magar kaam mai bhagat singh wala hi karunga,
Ajanme shishuon me barud bharunga.
Vyavastha bigari hai jisne , ve hi ise sudharenge,
Hum kisi bhi halat me dushit hawa me sansh nahi lenge.’
Tabhi mujhe patni ki chikh sunai pari,
Aur meri neend tut gayi.
Kavita ka saar yehi hai – kahin aisa na ho ki hum hawaon me is kadar aakrosh bhar de,
Ki bache Hindustan ke sar jameen me paida hone se mana kar de.........
No comments:
Post a Comment